Ad

Casteism in Rural Societies || Prakash Choudhary || CMROHITYADAV vData || CMROHITYADAV

Bachpan hamara sath me guzara .....
Sath khele  ... Padhe .... Or bahut saare mastii .... Har waqt hamane sath me guzara....
Hamari dosti ko 15 saal pure ho gye ....
Hum jab chhote the to hame duniya se koi Lena Dena Nahi tha or Naa hi is society se .....
Hum is liye ek dusare se alag ho gye ,
kyo ki hamari society yeh manti thi ki nichi caste (lower caste) walo se jyada baat chit nahi Karna .... Or Naa hi inke sath ghumna firna ....
Bachapan me to sath me hamane ek Tiffin me Khana khaya karte the. . .
Magar ab ek sath Khana bhi khate hai to sochana padata hai ki log kya kahenge .....
Society se bahar Nikal denge .... Ya fir unko Apne samaaj se Nikal denge ....
Mujhe to samajh Nahi aata ki hum bachpan se jiske sath rahe the unhi se alag kaise Kar Sakti hai yeh society  ??   

Ham kisi se bhi baat Kare ,yeh society kaise rok Sakti hai  hame....???
Kya Hame society jo kahegi wo Karna padega ???

Nahi Kabhi bhi ..Nahi .. 

Apni suno ....

Qki Apne ko khud se kamake Khana hai society wale Nahi aayenge khilane ....
Balaki yeh society wale tumhare pass Jo hai wo noch khayenge

                                     ~Prakash Choudhary 


Advertisement

Post a Comment

0 Comments